99+ Most Famous Hindi Shayari From Bollywood Movies Of All Time
Best filmy shayari from bollywood movies : read and share great collection of hindi shayari from famous bollywood movies, heart touching romantic love shayari from hindi movies, funny bollywood shayari and patriotic shayari quotes from bollywood movies with images.
बॉलीवुड शायरी डायलॉग हिंदी में
- 1 -
Aasmaanon se kaho agar hamari udaan dekhni ho
toh apna kad aur uncha karle,
husn waalon se kaho ki agar ishq dekhna ho
toh humse aake mile - ab tumhare hawale watan sathiyon
- 2 -
Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai,
hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai.
Jab aata hai tera naam mere naam ke saath,
naa jano kyon log hamare naam se jalte hai - raaz
- 3 -
Kaate nahin kat-te lamhe intezaar ke,
nazaren bichaye baithe hain raste pe yaar ke,
dil ne kaha dekhe jo jalwe husne yaar ke,
laya hai unhe kaun falak se utaar ke - hum aapke hain kaun
- 4 -
Isne hamko chaha, use hum chah naa sake,
jisko hamne chaha, use hum paa naa sake,
ye soch lo ki, dil tutne ka khel hai,
kisi ka toda aur, apna bacha naa sake - dil ka khel
- 5 -
Kyon banaati ho tum ret ke mahal,
jise khud hi tod dalogi tum.
Aaj kehti ho is dijlale se pyar hai tumhe,
kal to mera naam tak bhool jayogi tum - diljale
Famous Bollywood Movies Shayari Dialogues
- 6 -
Aarzoo jhooth hai,
aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana - diljale
- 7 -
Ek pal mein jo aakar gujar jaaye
yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
pyar kahti hai duniya jise,
ek rangeen dhokha hai .. Aur kuch nahi - diljale
- 8 -
Toofan mein bahaa hai na yeh sholon mein jala hai
ghayal hua teeron se na khanjar se kata hai,
kehte hai jisse ishq qayamat hai, bala hai
takraya joh bhi isse woh duniya se mitta hai - ishq
- 9 -
Aaj aaj ek hasi aur baant lo aaj ek dua aur maang lo
aaj ek ansoon aur pee lo aaj ek zindagi aur jee lo
aaj ek sapna aur dekh lo aaj kya pata, kal ho naa ho - kal ho na ho
- 10 -
Mere dil, jigar, liver mein ho tum
waqt bewaqt aaye woh fever ho tum
ab toh meri life mein forever ho tum - mujhse friendship karoge
Funny Shayari From Bollywood Movies
- 11 -
Aaj kal ke daur me hassi ki fasal ugati kahan hai
hassta woh hai jo deewana hota hai,
ya tu jisse taufiq de, warna iss duniysa mein aa kar muskurata kaun hai - sharaabi
- 12 -
Joh hashr hua hai lakhon ka, apna bhi woh anjaam sahi
hum pe toh kahi ilzaam lage, tujhpar bhi koi ilzaam sahi - teri meri kahani
- 13 -
Uske banaye har haseen chehre se ishq karna hai
aakhir marne ke baad kal usko mooh bhi toh dikhana hai - teri meri kahani
- 14 -
Dil mila hai ishq karne ke liye, bas itna samajh li jiye
ek se karna hai yah igyarah se, woh khud hi tai kar lijiye - teri meri kahani
- 15 -
Woh aag hi kya joh lag ke badhe nahi
woh nasha hi kya joh sarr pe chadhe nahi
nahi banta tab tak koi sachcha aashiq,
jab tak ishq mein usko do chaar padhe nahi - teri meri kahani
Romantic Shayari From Bollywood Movies
- 16 -
Mohabbat ka matlab ikraar nahi hota,
sirf kisi ko dekhna pyar nahi hota
yun toh milte hai roz mohabbat-e-pehgham,
mohabbat hai zindagi baar baar nahi hota - teri meri kahani
- 17 -
Deewane hai aapke is baat se inkaar nahi,
kaise kahen ki hum mein aapse pyar nahi
kuch toh kasoor hai aapki adaon ka,
akele hum hi gunehgaar nahi - teri meri kahani
- 18 -
Pehle toh apni dil ki raza jaan jaiye
phir joh nigah-e-yaar kahe maan jaiye
kuch keh rahi hai aapke seene ki dhadkane
meri suniye toh dil ka kaha maan jaiye
ek dhoop si jammi hai nigahon ke aas paas
ki aap hai toh aap pe kurbaan jaiye - ranjhnaa
- 19 -
Unhe humse shikayat hai ki hum har kisi ko dekh kar muskurate hai
nasamajh hai woh na samajhe ke hum mein toh
har chehre mein woh hi nazar aate hai - teri meri kahani
- 20 -
Na jaagte hue khwab dekha karo,
na chaho usse jise paa na sako
pyaar kahan kisi ka poora hota hai,
pyaar ka pehla akshar adhoora hota hai - teri meri kahani
Love Shayari in Hindi From Bollywood Movies
- 21 -
Teri aankhon ki namkeen mastiyan
teri hansi ki be parwaah gustakhiyan
teri zulfon ki lehrati angdaiyaan
nahi bhoolunga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan - jab tak hai jan
- 22 -
Tera haath se haath chhodna
tera saayon ka rukh modna
tera palat ke phir na dekhna
nahin maaf karoonga mein,
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan - jab tak hai jan
- 23 -
Baarishon mein bedhadak tere nachne se
baat baat pe tere bewajah ruthne se
choti choti teri bachkaani badmashiyon se
mohabbath karoonga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan - jab tak hai jan
- 24 -
Tere jhoothe kasme vaadon se
tere jalte sulagte khaawo se
teri beraham duaon se
nafrath karoonga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.. - Jab tak hai jan
- 25 -
Apni aankhon ke samundar mein utar jaane de,
tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de,
zakham kitne teri chahat se mile hain mujhko,
sochta hoon tujhe keh doon par jaane de - sarfarosh
Beautiful Bollywood Shayari Dialogues
- 26 -
Khuda ne jab tujhe banaya hoga,
ek suroor uske dil mein aaya hoga
socha hoga kya doonga tohfe mein tujhe,
tab ja ke usne mujhe banaya hoga - teri meri kahani
- 27 -
Falak ke teer ka kya dekh nishana tha,
udhar thi bijli idhar mera aashiana tha
pahunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed,
us hi waqt is toofan ko bhi aana tha - sajaan
- 28 -
Husn ko chaand, jawani ko kamal kehte hai ...
Dekh kar hum tujhe ek shouk ghazal kehte hai
uff yeh sang-e-marmar sa tarasha hua shafaf badan
dekhne wale tujhe taj mahal kehte hai - mann
- 29 -
Khushiyan kisi ki mohtaj nahin hoti, dosti yunhi ittefaq se nahin hoti
kuch toh maine honge is pal ke, warna yunhi aapse mulaqat nahin hoti - table no 21
- 30 -
Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath
liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath - fanaa
Bollywood Movie Shayari Memes
- 31 -
Hum mein toh apno ne loota, gairon mein kahan dum tha
meri kishti thi doobi wahan, jahan pani kam tha - dilwale
- 32 -
Aap hum mein bhool jao, hum mein koi gham nahi
jis din humne aapko bhula diya, samajh li jiyega iss duniyaa mein hum nahi -teri meri kahani
- 33 -
Badi muddat se mere dil mein ek tasveer behti hai
teri zulfon ke chao mein meri taqdeer behti hai - sajan
- 34 -
Yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye hum toh samjhe the bud, aap toh dhadkan suna gaye - devdas
- 35 -
Dil ke chhaalon ko koi shayari kahe
toh dard nahi hota, takleef to tab hoti hai,
jab log wah wah karne lagte hain" - devdas
Attitude Shayari Dialogues in Hindi From Bollywood Movies
- 36 -
Ik baar to yun hoga, thoda sa sukoon hoga,
na dil mein kasak hogi, na sar mein junoon hoga." - 7 Khoon maaf
- 37 -
Ishq di mere mitra pehchaan ki, mit jaave jadon zid apnaan di" - namste london
- 38 -
Har baal ki khaal ki yeh chhaal bhi kha jaaye
iske haat pad jaaye toh mahine saal bhi kha jaaye
kisi behaal ka bacha haal woh haal kha jaaye
bemaut marate mann ka yeh malaal kha jaaye - udaan
- 39 -
Laalu ka laal kha jaaye naksalbaari ki naal kha jaaye
bachpan ka dhamaal kha jaaye, budhaape ki shaal kha jaaye
haya toh chhodo behaya ki chaal bhi kha jaaye
aur agar parosha jaa sake toh khayaal bhi kha jaaye - udaan
- 40 -
Tumsa koi aur is zameen pe hua, toh rab se shikayat hogi
tumhe chahane waala koi aur hua, toh qayamat se pehle qayamat hogi - humraaz
Sad Shayari Dialogues in HIndi From Bollywood Movies
- 41 -
Aaj itni bhi maisir nahi maikhane mein jitni hum chhod diya karte the paimane mein - sharabi
- 42 -
E khuda aaj ye faisla karde,
use mera ya mujhe uska karde.
Bahot dukh sahe hai maine,
koi khusi ab toh muqadar karde. - Fanna
- 43 -
Bahot muskil lagta hai usse duur rehna,
judai ka safar ko kam karde.
Jitna duur chale gaye woh mujhse,
use utna kareeb karde. - Fanna
- 44 -
Nahi likhaa agar naseeb me uska naam,
to khatam kar ye zindagi aur mujhe fanaa karde - fanna
- 45 -
Aao jhuk kar salaam kare unhe jinke
hisse mein yeh mukaam aata hai
kis kadhar khush naseeb hai woh
log jinka khon watan ke kaam aata hai - ab tumhare hawale watan sathiyon
Desh Bhakti Patriotic Shayari Dialogues From Bollywood Movies
- 46 -
Tirchi nigaahon se na dekh aashiq-e-dilgir ko
kaise teerandaz ho tum, zara seedha toh karlo teer ko - ab tumhare hawale watan
- 47 -
Mohabbat rang lati hai jab dil se dil milte hai
mushkil toh yeh hai, ki dil badi mushkil se milte hain - ab tumhare hawale watan sathiyon
- 48 -
Hun main parwana magar koi shamma toh ho
raat toh ho jaan dene ko hoon haazir, koi baat toh ho - ab tumhare hawale watan sathiyon
- 49 -
Pani se pyaas nah bhujhi toh maikhane ki taraf chal nikla
soocha shikayat karoon teri khuda se..par khuda bhi tera aashiq niklaa - fanaa
- 50 -
Bhool karke agar humse koi bhool hui ho
toh bhool samajhkar bhula dena
lekin bhulana sirf bhool ko
galati se bhi hum mein na bhula denaa - fanaa
Related Posts :
Thanks For Reading Famous Hindi Shayari From Bollywood Movies Of All Time. Please Check Daily Updates On TheMoviesRepublic.com For Get Latest Movie Reviews, Web Series Reviews, Movies And Web Series Lists And Interesting Facts About Movies in Hindi.
No comments:
Post a Comment