95+ Famous Pran Sahab Dialogues | Pran Sahab Quotes From Movies
Best Iconic Dialogues Of Pran Sahab With Images : Read And Share Pran Sahab's Superhit Dialogues, Most Inspiring Quotes From Pran Sahab, Cute Romantic Dialogues Of Pran Sahab And Famous Hindi Shayari From Pran Sahab Movies.
Most Memorable Dialogues Of Pran Sahab
- 1 -
"Awaaz Toh Teri Ek Din Main Neechi Karoonga, Sher Ki Tarah Garajne Waala, Billi Ki Zabaan Bolega" - Sanam Bewafa
- 2 -
"Pyar Mein Toh Budha Bhi Jawaan Lagta Hai, Ladki Shirin Aur Ladka Farhad Lagta Hai" - Karz
- 3 -
"Zara Yeh Raat Dhalne De, Nasha Tera Utaroonga, Jawaani Bhool Jaye Ishq, Tujhko Aaise Maroonga, Andhere Mein Agar Maara Toh Kehlaonga Main Buzdil, Tadap Le Raat Bhar, Pehli Kiran Hogi Teri Kaatil" - Heer Raanjha
- 4 -
"Ek Baar Mann Ko Saaf Kar Lo, Bar Bar Snaan Nahi Karna Padega" - Ganga Ki Saugand
- 5 -
"Jee Chahta Hai Tujhe Gande Keede Ki Tarah Masal Doon, Magar Main Apne Haath Gande Karna Nahi Chahta" - Don (1978)
Pran Sahab's Motivational Dialogues
- 6 -
"Kyun Matakti Hai Bahut, Aaj Tanhayi Khatakti Hai Bahut" - Heer Raanjha
- 7 -
"Sher Khan Aaj Ka Kaam Kal Par Nahi Chodta" - Zanjeer (1973)
- 8 -
"Anjaam Unka Wahi Hoga Joh Tu Chahta Hai, Lekin Hoga Vaise Jaise Hum Chahte Hai" - Sanam Bewafa
- 9 -
"Sab Apni Soochte Hai, Sabko Dhyan Hai Apna, Yahi Hai Rang Toh Poora Na Hoga Ek Sapna" - Heer Raanjha
- 10 -
"Sachai Apna Saboot Kudh Hoti Hai" - Shahenshah
Most Inspirational Quotes From Pran Sahab's Movies
- 11 -
"Huye Tum Dost Jiske, Uska Dushman Aasman Kyun Ho" - 1942: A Love Story
- 12 -
"Khuchal Doonga, Masal Doonga, Jala Doonga, Loota Doonga, Rulaya Mujhko Kismat Ne, Main Duniya Ko Rula Doonga" - Heer Raanjha
- 13 -
"Baarah Junglee Kutte Milkar Sher Ko Maar Daalte Hai" - Zanjeer (1973)
- 14 -
"Aaj Zindagi Mein Pehli Baar, Sher Khan Ki Sher Se Takkar Hui Hai" - Zanjeer (1973)
- 15 -
"Is Ilaaqe Mein Naye Aaye Ho Sahab?, Varna Sher Khan Ko Kaun Nahi Jaanta" - Zanjeer (1973)
Famous Hindi Shayari From Pran Sahab Movies
- 16 -
"Zakhm Dene Waala Bhi Wohi Hai, Bharne Waala Bhi Wohi Hai, Insaan Toh Sirf Marham Rag Sakta Hai" - Shahenshah
- 17 -
"Sher Khan Ne Shaadi Nahi Ki Toh Kya Hua, Lekin Baaraatein Bahut Dekhi Hai" - Zanjeer (1973)
- 18 -
"Aaj Ki Duniya Mein Agar Zinda Rehna Hai, Toh Duniya Ke Button Apne Haath Mein Rakhne Parte Hai" - Sharaabi
- 19 -
"Zulm Karne Waala Bhi Paapi, Aur Zulm Sehne Waala Bhi Paapi" - Ganga Ki Saugand
- 20 -
"Chaand Ko Apni Chaandni Sabit Karne Ke Liye, Chiragon Ki Shahadat Ki Zaroorat Nahi Padhti" - Shahenshah
Best Instagram Captions From Pran Sahab Movie Dialogues
- 21 -
"Joh Santo Ki Baat Na Maane Woh Barso Pachtaye, Jis Jis Raah Se Guzre Tis Tis Joote Khaye" - Karz
- 22 -
"Pyar Mohabbat Mein Toh Hum Tan Mann Jaan Lutaya, Dhokha De Dai Dost Ko Ab Dekh Kabira Aaya" - Karz
- 23 -
"Musalman Ke Yahan Parvarish, Hinduon Se Dosti Aur Angrezon Ke Shaunk Rahe Hai Mere" - Karz
- 24 -
"Hum Apne Dhande Mein Jis Kisike Saath Taluk Rakhte Hai, Uski Agli, Pichli, Sari Zindagi Ka Hisaab Kitaab Apni Kitaab Mein Rakh Lete Hai" - Naseeb (1981)
- 25 -
"Hamare Business Ka Ek Ussool Hai, Ke Rupiya Do Toh Ginn Ke Do, Rupiya Lo Toh Ginn Ke Lo" - Chandra Mukhi
Top Dialogues Status For Whatsapp From Pran Sahab Movies
- 26 -
"Hamare Dil Mein Chupe Nafrat Ke Angaaron Aur Hawa Na De, Varna Tu Is Aag Mein Jalkar Raakh Ho Jayega" - Sanam Bewafa
- 27 -
"Tum Usse Apna Samajhte Ho, Joh Madad Leta Hai, Main Usse Apna Kehta Hoon, Joh Madad Deta Hai" - Purab Aur Pachhim
- 28 -
"Yeh Shehar Ab Jungle Ban Gaye Hai, Yahan Din Ko Insaan Aur Raat Ko Shaitaan Ghumte Hai" - Nastik
- 29 -
"Kismat Hai Ki Zinda Bach Gaye Pyare, Na Jaane Dakuyon Ne Is Jagah Kitne Jawaan Maare" - Heer Raanjha
- 30 -
"Sochne Ke Waqt Kahan, Yeh Koi Aur Gul Khilayegi, Baat Jungle Ki Aag Hoti Hai, Lakh Rokoge Phail Jayegi" - Heer Raanjha
Superhit Dialogues Quotes Of Pran Sahab in Hindi
- 31 -
"Log Jab Kamyabi Ke Ghode Par Savaar Sone Ki Bani Hui Sadak Par Daudte Hai, Toh Woh Yeh Bhool Jaate Hai Ki Yeh Sadak Jail Ki Kaal Kothri Mein Khatam Hoti Hai Ya Phansi Ke Takhte Par" - Kaalia
- 32 -
"Agar Tumhare Maathey Ki Bindiya Aur Maang Ka Sindoor, Suhaag Ki Nishani Nahi Kalank Hai, Toh Mitta Do Isse" - Purab Aur Pachhim
- 33 -
"Sher Khan Khud Aaya Tha Khud Chala Jayega" - Zanjeer (1973)
- 34 -
"Haqeeqat Khul Gayi Teri Ki Tu Kaisa Gavala Hai, Kamine Dushmano Ke Gaon Ka Tu Rehne Waala Hai" - Heer Raanjha
- 35 -
"Chillaaoo Nahi Sahab, Gala Kharab Ho Jayega" - Zanjeer (1973)
Funny Memes From Pran Sahab Movies Dialogues
- 36 -
"Hum Aaya Tha Karza Lene Ke Liye, Par Tumne Sher Khan Ko Khareed Liya" - Zanjeer (1973)
- 37 -
"Sher Khan Kaale Ka Dhanda Karta Hai, Lekin Imaandari Se" - Zanjeer (1973)
- 38 -
"Karz Chukane Wale Ki Yaadash Aksar Kamzoor Ho Jati Hai" - Karz
- 39 -
"Kapde Badalne Se Aadmi Ki Asliyat Nahi Badal Jaati" - Naseeb (1981)
- 40 -
"Insaan Apni Burai Chhod Sakta Hai, Lekin Insaan Ki Badnaami Hamesha Uske Saath Rehti Hai" - Don (1978)
प्राण साहंब के सुपरहिट डायलॉग
- 41 -
"Mere Jaal Mein Aayi Hui Chidiya Udh Nahi Sakti, Kyun Ki Main Uske Par Katar Deta Hoon" - Roop Tera Mastana
- 42 -
"Shaastra Sirf Padhne Aur Sunane Ke Liye Reh Gaye Hai, Amal Ke Liye Jis Dharam Aur Karam Ki Zaroorat Hai, Usse Insaan Khud Apne Haathon Se Banata Hai" - Taqdeer Ka Badshah
- 43 -
"Mujhe Aaj Tak Kisi Ka Khoon Karne Ki Zaroorat Hi Nahin Padi" - Majboor
- 44 -
"Adaalat Shaq Par Nahi, Yakeen Ki Buniyaad Par Faisla Karti Hai" - Yudh
- 45 -
"Yahan Suraj Hamari Aagya Lekar Nikalta Hai Aur Chand Hamare Ishare Se Doobta Hai, Hamare Liye Aane Waale Kal Aur Guzar Jaane Waale Kal Mein Koi Fark Nahi, Dono Hi Hamare Ghulam Hai" - Ye Gulistan Hamara
प्राण साहंब के दमदार डायलॉग
- 46 -
"Joh Zanjeeron Mein Jakde Hote Hai Woh Hamesha Gaddar Nahi Hote, Aur Joh Oonchi Kursiyon Par Behte Hote Hai Woh Hamesha Wafaadar Nahi Hote" - Raaj Tilak
- 47 -
"Main Teri Maut Itni Kharaab Kar Doonga, Ki Tujhe Dekh Kar Maut Ka Farishta Bhi Kaanp Uthe" - Nastik
- 48 -
"Jaise Taise Taalo Isse, Lula Landa Jahan Koi Mil Jaaye Haath Peele Karo, Nikalo Isse" - Heer Raanjha
- 49 -
"Na Tumko Fikar, Na Bhai Ko Gham Gharane Ka, Khayal Aaya Kabhi Mera Ghar Basaane Ka, Diya Kahin Mera Pehghaam, Tumne Cheddi Baat, Zara Bhi Ki Kabhi Koshish, Sajje Meri Baraat" - Heer Raanjha
- 50 -
"Duniya Mein Tumhe Sab Kuch Mil Jayega, Lekin Mohabbat Bhara Dil Nahi Milega" - Naya Andaz
#
- 51 -
"Jab Hamari Tarah Pachpan Ke Ho Jaoge, Toh Aaisa Bachpan Ka Sawaal Nahi Karoge" - Sanam Bewafa
- 52 -
"Kisi Ki Shab-E-Vasl Haste Kate Hai, Kisi Ki Shab-E-Hijr Rote Kate Hai, Hamari Yeh Shab Kaisi Shab Hai Ki Ya Rab, Na Haste Kate Hai Na Rote Kate Hai" - Chandi Sona
- 53 -
"Beti Ke Rishtey Kaanch Ka Khilona Nahi Hote, Jinse Dil Bahel Gaya Aur Todkar Ghar Ke Bahar Phek Diya" - Sanam Bewafa
- 54 -
"Main Ki Main Ko Chhod De, Main Na Kisi Ki Hove, Joh Marzi Bhagwan Ki, Woh Tere Sang Sajoye" - Taqdeer Ka Badshah
- 55 -
"Ration Par Bhashan Bahut Hai, Lekin Bhashan Par Ration Koi Nahi" - Upkar
#
- 56 -
"Purani Sharaab Ki Tarah, Purani Dosti Ka Bhi Ajeeb Nasha Hai" - Des Pardes
- 57 -
"Bhagwan Kuch Bhi Nahi Ek Insaan Hai Joh Mahaan Hai, Bhakti Kuch Bhi Nahi Ek Shakti Hai, Karam Kuch Bhi Nahi Ek Kartavya Hai, Prem Kuch Bhi Nahi Ek Anand Hai, Yeh Anand Agar Tumhe Prapt Karna Hai Toh Tumhe Usse, Mujhse, Har Ek Se Prem Karna Hoga" - Krodhi
- 58 -
"Aurat Ko Apna Maan, Bhakt Ko Uska Bhagwan, Gareeb Ko Uski Aan Aur Amir Ko Uski Shaan, Bahut Pyari Hoti Hai" - Krodhi
- 59 -
"Dhamki Aur Challenge Toh Darpok Log Dete Hai" - Karz
- 60 -
"Maut Ka Ek Waqt Hota Hai, Na Woh Pal Bar Pehle Aa Sakti Hai, Na Pal Bar Baad" - Taqdeer Ka Badshah
#
- 61 -
"Tum Gareeb Ki Izzat Cheen Sakte Ho, Uski Kismat Nahi" - Bhagyawan
- 62 -
"Shaadi Karne Ka Sirf Ek Hi Faiyda Hai, Ki Agar Aadmi Markar Narak Mein Bhi Jaaye, Toh Lagta Hai Swarg Mein Aa Gaya" - Bhagyawan
- 63 -
"In Doctoron Ke Chakkar Bhi Ajeeb Hote Hai, Jinke Paas Kuch Nahi Hota, Unhe Kehte Hai Phal Khao, Makhan Khao, Badam Khao, Aur Jinke Paas Sab Kuch Hota Hai, Unhe Kehte Hai Ki Yeh Mat Khao Woh Mat Khao" - Amiri Garibi
- 64 -
"Jeevan Ke Saath Itna Prem Na Karo, Varna Marte Samay Bahut Dukh Hoga" - Ganga Ki Saugand
- 65 -
"Zaalim Ka Zulm Jaan Le Sakta Hai, Lekin Haq Ki Awaaz Ko Nahi Daba Sakta" - Ganga Ki Saugand
#
- 66 -
"Aadmi Kitna Hi Bura Kyun Na Ho, Woh Kabhi Na Kabhi Zaroor Pachtata Hai" - Do Badan
- 67 -
"Inki Sundarta Ki Tareef Karna Toh Chand Ko Aaina Dikhana Hai" - Ram Aur Shyam
- 68 -
"Yeh Hindustani Ladkiyon Ka Khaas Andaz Hota Hai, Yeh Haan Bhi Na Ki Tarah Karti Hai, Aur Na Haan Ki Tarah" - Roop Tera Mastana
- 69 -
"Devta Ki Mahaan Shakti Apne Bhakton Ki Hamesha Raksha Karti Hai" - Ye Gulistan Hamara
- 70 -
"Insaan Bhale Hi Nafrat Zahir Kare, Lekin Uske Dil Mein Pyar Chupa Hota Hai" - Jangal Mein Mangal
#
- 71 -
"Khoon Bahana Bahut Aasaan Hai, Lekin Khoon Ko Bachana Bahut Mushkil Hai" - Hifazat
- 72 -
"Jis Din Kisi Ghar Ki Deewaron Ke Kaan Nikal Aate Hai, Us Din Us Ghar Ki Buniyaad Mein Dimak Lag Jaati Hai" - Bhagyawan
- 73 -
"Agar Tum Mere Tukde Tukde Bhi Kar Doo, Phir Bhi Mera Har Tukda Haq Ki Aawaaz Dega" - Ganga Ki Saugand
- 74 -
"Joh Ladka Ladki Ki Kare Hifazat, Usse Shaadi Ki Hai Ijazat" - Karz
- 75 -
"Bhagwan Ki Dharti Bahut Badi Hai, Aur Insaan Ke Kadam Bahut Chote" - Ganga Ki Saugand
#
- 76 -
"Insaan Sirf Ek Hadh Tak Bardaash Karne Ki Taqat Rakhta Hai, Aur Takleef Hadh Se Bahar Ho Jaaye, Toh Uska Har Ussool Sheshay Ki Tarah Toot Tootkar Girne Lagta Hai" - Johny Mera Naam
- 77 -
"Aadmi Zindagi Aur Maut Dono Se Jhoot Bol Sakta Hai, Lekin Apni Premika Se Nahi" - Ye Gulistan Hamara
- 78 -
"Dosti Aur Wafaadari Ka Saboot Baaton Se Nahi, Kaam Se Diya Jaata Hai" - Ye Gulistan Hamara
- 79 -
"Bina Mushkil Mein Padhe Kamyabi Milti Bhi Toh Nahi, Mushkilen Itni Padhi Mujhpar Ki Aasaan Ho Gayi" - Chandi Sona
- 80 -
"Samajhte Ho Ki Sab Samajhta Hoon, Isse Badhkar Insaan Ki Nasamajhi Aur Kya Ho Sakti Hai - Krodhi
#
- 81 -
"Dard-E-Dil Ke Vaaste Pehda Kiya Insaan Ko, Varna Puja Ke Liye Farishtey Kam Na The Bhagwan Ko" - Ganga Ki Saugand
- 82 -
"Zulm Ki Tahani Kabhi Phalti Nahi, Nav Kagaz Ki Sada Chalti Nahi" - Ganga Ki Saugand
- 83 -
"Badalkar Fakeeron Ka Hum Bhes Ghalib, Ahle-E-Tamasha Ke Dekhte Hain Karam" - Victoria No. 203
- 84 -
"Jis Tarah Ghoda Dabakar Bandook Se Goli Bahar Nikaal Dete Hai, Ussi Tarah Galati Manane Waale Ke Sar Par Haath Pherkar Hum Purani Baaton Ko Dil Se Nikaal Dete Hai" - Sherni
- 85 -
"Hamare Raston Par Charon Taraf Petrol Hi Petrol Bicha Hua Hai, Kaun, Kab Mauke Ka Fayda Uthakar Uspar Jalti Hui Maachis Uchaal De, Aur Kis Modh Par Hamari Zindagi Ka Safar Khatam Ho Jaye, Yeh Hum Bhi Nahi Jaante" - Gurudev
#
- 86 -
"Paise Ka Koi Rang Nahi, Roop Nahi, Koi Dharam Nahi, Imaan Nahi, Koi Punya Nahi, Paap Nahi" - Kasauti
- 87 -
"Khuda Bachaye Teri Mast Mast Aankhon Se, Farishta Ho Toh Bahek Jaaye, Aadmi Kya Hai" - Mere Mehboob
- 88 -
"Kitni Oonchi Baat Kahi Hai Aapne, Mann Pavitra Ho Gaya" - Ganga Ki Saugand
- 89 -
"Duniya Mein Har Insaan Ko Do Cheez Ki Bhook Hoti Hai, Ek Daulat Ki Aur Doosri Mohabbat Ki" - Humjoli
- 90 -
"Duniya Mein Do Cheezein Aaisi Hai Jinhe Koi Bhi Nahi Chupa Sakta, Ek Husn Aur Doosri Daulat" - An Evening In Paris
#
- 91 -
"Main Bhi Tumhari Khoobsurati Ki Ek Zamane Se Puja Kar Raha Tha, Tumhari Surat Apni Umeedon Ki Tasveer Se Mila Milake Dekh Raha Tha - Roop Tera Mastana
- 92 -
"Ab Na Ye Haath Chhodenge, Na Mooh Modhenge, Na Dil Todhenge" - Roop Tera Mastana
- 93 -
"Jhamela Char Din Ka Tha, Hawali They Mawali They, Sikandar Jab Gaya Duniya Se, Dono Haath Khali They" - Victoria No. 203
- 94 -
"Woh Kaali Kaali Botalein Joh Hai Sharaab Ki, Arre Raatein Hai In Mein Band Hamare Shabaab Ki" - Victoria No. 203
- 95 -
"Talwar Ka Zakhm Bhar Jaata Hai, Lekin Zubaan Ka Zakhm Nahi Bharta" - Tumse Achha Kaun Hai
Related Posts :
Thanks For Reading Pran Sahab Dialogues | Pran Sahab Quotes From Movies. Please Check Daily Updates On TheMoviesRepublic.com For Get Latest Movie Reviews, Web Series Reviews, Movies And Web Series Lists And Interesting Facts About Movies in Hindi.
No comments:
Post a Comment