87 Famous Rajkumar Ke Dialogue | Raj Kumar Quotes Shayari From Movies
Best Iconic Dialogues Of Raj Kumar With Images : Read And Share Raj Kumar's Superhit Dialogues, Most Inspiring Quotes From Raj Kumar, Cute Romantic Dialogues Of Raj Kumar And Famous Hindi Shayari From Raj Kumar Movies.
Most Memorable Dialogues Of Raj Kumar
- 1 -
"Hum Apne Kadmo Ki Aahat Se Hawa Ka Rukh Badal Dete Hai" - Betaaj Badshah
- 2 -
"Yeh Commando Bada Khatarnaak Hai, Tumhara Baap Hai" - Tirangaa
- 3 -
"Auron Ki Zameen Khodoge, Toh Usme Se Matti Aur Patthar Milenge, Aur Hamari Zameen Khodoge, Toh Usme Se Hamare Dushmano Ke Sar Milenge" - Betaaj Badshah
- 4 -
"Humko Mitta Sake Yeh Zamane Mein Dum Nahin, Humse Zamana Khud Hain, Zamane Se Hum Nahin" - Bulundi
- 5 -
"Dada Toh Is Duniya Mein Sirf Do Hain, Ek Upar Waala Aur Doosre Hum" - Marte Dam Tak
Raj Kumar's Motivational Dialogues
- 6 -
"Khaash Ke Tumne Hum Mein Aawaaz Di Hoti, Toh Hum Maut Ki Neend Se Uthkar Chale Aate" - Saudagar
- 7 -
"Tune Sab Paaya Hai, Aashiq Ki Nazar Paayi Nahi, Jabse Dekha Tujhko Duniya Ki Taraf Dekha Nahi, Jabse Chaha Tujhko Apni Yaad Bhi Aayi Nahi, Tukhjo Paana Zindagi Hai, Tujhko Khona Maut Hai, Aur Kuch Iske Sivah Mere Fasaane Mein Nahi, Maang Loonga Mein Khuda Se Yah Chura Loonga Tujhe, Tujhsa Moti Doosra Uske Khazane Mein Nahi" - Heer Raanjha
- 8 -
"Na Talwaar Ki Dhaar Se, Na Goliyon Ki Bauchaar Se, Banda Darta Hai Toh, Sirf Parvar Digaar Se" - Tirangaa
- 9 -
"Bootiyan Nochne Waala Geedar, Gala Phadne Se Sher Nahin Ban Jaata" - Marte Dam Tak
- 10 -
"Hum Aankhon Se Soorma Nahin Churate, Hum Aankhen Hi Chura Lete Hain" - Tirangaa
Most Inspirational Quotes From Raj Kumar's Movies
- 11 -
"Jab Hum Muskurate Hai, Toh Dushmano Ke Dil Dahil Jaate Hai" - Betaaj Badshah
- 12 -
"Hamari Zabaan Bhi Hamari Goli Ki Tarah, Dushmanon Se Seedhe Baat Karti Hai" - Tirangaa
- 13 -
"Jab Sar Par Burre Din Mandraate Hai, Toh Zabaan Lambi Ho Jaati Hai" - Bulundi
- 14 -
"Basakar Dilon Ko Mittati Hai Duniya, Hasakar Hamesha Rulati Hai Duniya - Heer Raanjha
- 15 -
"Hum Kutton Se Baat Nahin Karte!" - Marte Dam Tak
Famous Hindi Shayari From Raj Kumar Movies
- 16 -
"Hum Tumhe Woh Maut Denge, Joh Na To Kisi Kanoon Ki Kitaab Mein Likhi Hogi, Aur Na Hi Kabhi Kisi Mujrim Ne Soochi Hogi" - Tirangaa
- 17 -
"Hum Tumhe Maarenge, Aur Zaroor Maarenge, Lekin Woh Bandook Bhi Hamari Hogi, Goli Bhi Hamari Hogi Aur Waqt Bhi Hamara Hoga" - Saudagar
- 18 -
"Hum Kisi Se Bhi, Kisi Waqt Bhi, Kahin Bhi Mil Sakte Hain, Hamara Jab Dil Chahe" - Tirangaa
- 19 -
"Yeh Thakur Rajeshwar Singh, Itihaas Batata Nahi, Itihaas Likhta Hai, Itihaas Banata Hai" - Saudagar
- 20 -
"Jab Rajeshwar Dosti Nibhata Hai, Toh Afsaane Likhe Jaate Hai, Aur Jab Dushmani Karta Hai, Toh Tarikh Ban Jaati Hai" - Saudagar
Best Instagram Captions From Raj Kumar Movie Dialogues
- 21 -
"Bazaar Ke Kisi Sadak Chaap Darzi Ko Bulakar Apne Kafan Ka Maap De Do" - Marte Dam Tak
- 22 -
"Agar Ab Bhi Tum Na Badal Sake, Toh Tumhare Liye Mujhe Badalna Padega" - Bulundi
- 23 -
"Talwar Woh Hathyar Hai Joh Dost Ke Haath Mein Ho Toh Usse Badkar Koi Dost Nahi, Aur Agar Yahi Talwar Dushman Ke Haath Lag Jaye Toh Usse Bura Koi Dushman Nahi" - Raaj Tilak
- 24 -
"Aapne Hamare Haath Mein Taash Kya De Di, Yeh Samajhiye Baazi De Di" - Betaaj Badshah
- 25 -
"Rana Ki Maut Itni Choti Nahi, Joh Tumhari Mutthi Mein Ho" - Marte Dam Tak
Top Dialogues Status For Whatsapp From Raj Kumar Movies
- 26 -
"Sharmati Hai Kyun Aaj Meri Baahon Mein Aake, Le Jaonga Ek Din Tujhe Doli Mein Bithake" - Heer Raanjha
- 27 -
"Khudi Ko Kar Buland Itna Ke Har Taqdeer Se Pehle, Khuda Bande Se Khud Pooche, Bata Teri Raza Kya Hai?" - Bulundi
- 28 -
"Aapke Paon Dekhe, Bahut Haseen Hai, Inhe Zameen Par Mat Utaariega, Mailay Ho Jayenge" - Pakeezah
- 29 -
"Tu Jab Aa Jaati Hai Paas, Bhook Mar Jaati Hai, Jaag Uthti Hai Pyaas" - Heer Raanjha
- 30 -
"Aurron Ki Zameen Sirf Zameen Hai, Aur Hamari Zameen Ek Gardish" - Betaaj Badshah
Superhit Dialogues Quotes Of Raj Kumar in Hindi
- 31 -
"Layega Mere Dil Ki Tadap, Koi Kahan Se, Sunna Hai Mera Haal, Sunno Meri Zabaan Se" - Heer Raanjha
- 32 -
"Aaj Kal Ka Ishq Janamo Ka Rog Nahi Hai, Waqti Nasha Hai Shaam Ko Hota Hai, Subah Utar Jaata Hai" - Betaaj Badshah
- 33 -
"Sher Ko Saanp Aur Bichoo Kaata Nahin Karte, Door Hi Door Se Rhengte Hue Nikal Jaate Hai" - Saudagar
- 34 -
"Tere Zakhm Meri Tadap Se Harre Hai, Meri Aankh Mein Tere Aasoon Bhare Hai" - Heer Raanjha
- 35 -
"Hum Tumhe Aisi Maut Maarenge, Tumhari Aane Waali Nasalon Ki Neend Bhi Uss Maut Ke Khauf Se Udh Jayegi" - Marte Dam Tak
Funny Memes From Raj Kumar Movies Dialogues
- 36 -
"Jinke Apne Ghar Sheeshay Ke Hoon, Woh Doosron Par Patthar Nahi Phenka Karte" - Waqt
- 37 -
"Apna Toh Ussool Hai, Pehle Mulaqat, Phir Baat, Aur Phir Agar Zaroorat Pare Toh Laat" - Tirangaa
- 38 -
"Hamari Sultanat Ki Sadak, Insaaniyat Ki Dehleez Se Shuru Hokar, Reham Aur Imaandari Ke Ilaake Se Guzarti Hui, Dil Ke Darwaaze Par Khatam Hoti Hai" - Betaaj Badshah
- 39 -
"Joh Bhaari Nah Ho, Woh Dushmani Hi Kya" - Tirangaa
- 40 -
"Sher Ki Khaal Pehenkar Aaj Tak Koi Aadmi Sher Nahin Ban Saka" - Police Public
राज कुमार के सुपरहिट डायलॉग
- 41 -
"Baarat Mein Halki Si Jhalak Apni Dikhake, Chhoda Mujhe Is Husn Ne Deewana Banake, Doori Na Hui Dil Ko Kisi Tarah Gawara, Chhod Aaya Hamesha Ke Liye Takht Hazara" - Heer Raanjha
- 42 -
"Baaton Ki Talwar Se Gardan Nahin Katti" - Marte Dam Tak
- 43 -
"Dushmani Aur Dosti Agar Ghaadi Na Ho, Toh Us Mein Koi Rang Nahin Aata" - Marte Dam Tak
- 44 -
"Hamare Kaan Na Nahin Sun Sakte, Agar Na Sunle, Toh Hamare Kaanon Se Angaray Nikalne Lagte Hain" - Marte Dam Tak
- 45 -
"Rana Karz Aur Farz Dono Ko, Ek Hi Nazar Se Nibhata Hai" - Marte Dam Tak
राज कुमार के दमदार डायलॉग
- 46 -
"Rajeshwar Zameen Par Rehkar Bhi, Aasmaan Mein Udhta Hai" - Saudagar
- 47 -
"Yeh Toh Sher Ki Guffa Hai, Yahan Agar Tumne Karvat Bhi Li Toh Samjho Maut Ko Bulava Diya" - Marte Dam Tak
- 48 -
"Waqt Ki Pabandi Aadhi Kamyabi Hai, Aur Baki Lagan, Shauk Aur Iraade Se Milti Hai" - Bulundi
- 49 -
"Hum Kab Aate Hain Aur Kab Jaate Hain, Yeh Toh Taqdeer Banane Waale Ko Bhi Malum Nahi" - Saudagar
- 50 -
"Mohabbat Ka Tamasha Ishq Ki Taseer Dekhoge, Mere Seene Mein Dil Mein Heer Ki Tasveer Dekhoge" - Heer Raanjha
#
- 51 -
"Jab Hum Kash Lagate Hai, Toh Hamare Dushman Gash Khakar Gir Jaate Hai" - Betaaj Badshah
- 52 -
"Doori Kabhi Palbhar Ko Gawara Na Karenge, Agar Jee Na Sake Saath Toh Hum Saath Marenge" - Heer Raanjha
- 53 -
"Paise Ka Lalach Insaan Ki Akal Mein Daraare Daal Deta Hai, Aur Woh Tumhari Tarah, Apni Kismat Khud Jala Bethta Hai" - Bulundi
- 54 -
"Milke Tanhai Ka Ehsaas Usne Doona Kar Diya, Dil Kiya Aabad Kuch Aaise, Ki Soona Kar Diya" - Heer Raanjha
- 55 -
"Badle Ki Aag Woh Pyas Hai Joh Kisi Doosre Ke Peene Se Nahi Bhujti, Aur Toofan Ko Kisi Aur Sahare Ki Zaroorat Nahi Padhti" - Marte Dam Tak
#
- 56 -
"Hum Mein Oonchi Awaaz Sunna Bhi Pasand Nahi, Hamare Samne Joh Oonchi Awaaz Mein Bolta Hai, Uski Awaaz Hamesha Hamesha Ke Liye Band Kar Di Jaati Hai" - Jung Baaz
- 57 -
"Telephone Uthakar Khamosh Rehna Mardo Ka Kaam Nahi Hai" - Marte Dam Tak
- 58 -
"Toofan Mein Hum Apni Khushi Chahte Hai, Jaan Hatheli Pe Liye Jee Jaate Hai, Tum Woh Joh Samundar Jinhe Kha Jaata Hai, Hum Woh Joh Samundar Ko Pee Jaate Hai" - Police Public
- 59 -
"Taqat Par Tameez Ki Lagaam Zaroori Hai, Lekin Itni Nahi Ki Buzdili Ban Jaye" - Saudagar
- 60 -
"Haqeeqat Chup Nahi Sakti Banavat Ke Usoolon Se, Ki Khushboo Aa Nahi Sakti Kabhi Kagaz Ke Phoolon Se" - Suryaa
#
- 61 -
"Yeh Bachchon Ke Khelne Ki Cheez Nahi, Haath Kat Jaye Toh Khoon Nikal Aata Hai" - Waqt
- 62 -
"Prithviraj Woh Tairakh Hai Joh Nadi Naale Nahi, Sailaabi Dariya Leharon Se Khelta Hua Paar Kar Jaata Hai" - Betaaj Badshah
- 63 -
"Afsoos, Ki Log Doodh Se Bhi Jal Jaate Hai" - Pakeezah
- 64 -
"Zindagi Ek Natak Hi Toh Hai, Lekin Zindagi Aur Natak Mein Farak Hai, Natak Ko Jahan Chaho, Jab Chaho Badal Do Lekin, Zindagi Ke Natak Ki Dor Toh Upar Waale Ke Haath Mein Hai" - Marte Dam Tak
- 65 -
"Sui Aur Wagi Lo Aur Pyar Ke Dhaage, Seeyo Kapde Pehenke Jinko Jadoo Jism Ka Jaage" - Heer Raanjha
#
- 66 -
"Insaaf Toh Ek Chamakta Hua Suraj Hai, Joh Aankh Dekhle Toh Savera, Joh Na Dekhe Toh Andhera" - Bulundi
- 67 -
"Hausle Se Har Kaam Mumkin Hai, Hausle Se Insaan Apni Taqdeer Jaise Chahe Waisi Bana Sakta Hai" - Marte Dam Tak
- 68 -
"Is Duniya Ke Tum Pehle Aur Aakhri Badnaseeb Kamine Hoge, Jiski Na Toh Arthi Uthegi Aur Na Kisi Kandhe Ka Sahara, Seedhi Chitta Jalegi" - Marte Dam Tak
- 69 -
"Gunaah Ke Samundar Ki Koi Bhi Machli, Tumhare Jeevan Ke Pavitra Nadi Mein Kabhi Nahi Aayegi" - Marte Dam Tak
- 70 -
"Hamari Yaadash Achchi Bhi Hai Aur Tezz Bhi Hai" - Betaaj Badshah
#
- 71 -
"Hum Mein Amiron Ki Taqat Ka Nahin, Garibon Ki Kamzori Ka Ehsaas Hai" - Marte Dam Tak
- 72 -
"Hamare Phone Ke Baad Interview Nahin Hota, Letter Of Appointment Seedha Milta Hai" - Marte Dam Tak
- 73 -
"Hukum Leta Nahin, Professor Hukum Deta Hai" - Bulundi
- 74 -
"Jab Hum Dushmano Ka Khayal Karte Hue Apne Paon Neeche Rakhte Hai, Toh Hamare Dushman Maut Ka Tasavur Karte Hue Zameen Se Upar Uthne Lagte Hai" - Betaaj Badshah
- 75 -
"Humne Dekhe Hai Bahut Dushmani Karne Waale, Waqt Ki Har Saans Se Darne Waale, Jiska Haami Hai Khuda, Kaun Usse Maar Sake, Hum Nahi Bomb Aur Barood Se Marne Waale" - God And Gun
#
- 76 -
"Chipkali Ke Bachche Kabhi Magarmach Nahi Ban Sakte, Woh Deewar Par Rhengte Rhengte Hi Mar Jaate Hai" - Jung Baaz
- 77 -
"Seva, Adarsh Aur Desh Bhakti Ki Bhavna Agar Kitaabon Mein Hi Bandh Rahi, Toh Phir Hamare Desh Ki Hasti Bhi Duniya Ke Kagazi Naksho Mein Reh Jayegi" - Marte Dam Tak
- 78 -
"Meri Nazar Ne Husn Ka Jadoo Jaga Diya, Tujhko Sajaake Aur Bhi Katil Bana Diya" - Heer Raanjha
- 79 -
"Chandni Aanchal Mein Bhar Layi Hai Tu, Raat Yeh Chamki Hai Jab Aayi Hai Tu" - Heer Raanjha
- 80 -
"Koi Kabil Ho Toh Hum Shaan-E-Watan Dete Hai, Dhoondne Waalon Ko Duniya Bhi Nayi Dete Hai" - God And Gun
#
- 81 -
"Hum Toh Woh Bhanwar Hai Jis Mein Samundar Ke Samundar Doob Jaate Hai" - Jung Baaz
- 82 -
"Jab Khoon Tapakta Hai Toh Jamm Jaata Hai, Apna Nishaan Chhod Jaata Hai, Aur Phir Cheek Cheekar Pukarta Hai Ki Mera Inteqam Lo, Mera Inteqam Lo" - Insaniyat Ke Devta
- 83 -
"Aasoon Bahane Se Dil Toh Halka Ho Jayega Lekin Gham Ka Bhoj Halka Nahi Hota" - Marte Dam Tak
- 84 -
"Nadi Shokh, Chanchal Aur Khoobsurat Hoti Hai, Lekin Badnaseeb Insaan Ki Gandagi Is Mein Behti Rehti Hai" - Betaaj Badshah
- 85 -
"Kauva Oonchai Par Bahetne Se Kabootar Nahi Ban Jata" - Police Public
#
- 86 -
"Shahi Talwarein Mohabbat Ki Gardan Par Chalti Rahi Hai, Lekin Mohabbat Ka Naam Hamesha Roshan Hota Raha Hai" - Neel Kamal
- 87 -
"Iraada Paida Karo, Iraada, Iraade Se Asmaan Ka Chaand Bhi Insaan Ke Kadmo Mein Sajda Karta Hai" - Bulundi
Related Posts :
Thanks For Reading Raj Kumar Dialogues | Raj Kumar Quotes From Movies. Please Check Daily Updates On TheMoviesRepublic.com For Get Latest Movie Reviews, Web Series Reviews, Movies And Web Series Lists And Interesting Facts About Movies in Hindi.
No comments:
Post a Comment