Rajesh Khanna Dialogues | 71 Famous Rajesh Khanna Quotes From Movies
Best Iconic Dialogues Of Rajesh Khanna With Images : Read And Share Rajesh Khanna's Superhit Dialogues, Most Inspiring Quotes From Rajesh Khanna, Cute Romantic Dialogues Of Rajesh Khanna And Famous Hindi Shayari From Rajesh Khanna Movies.
Most Memorable Dialogues Of Rajesh Khanna
- 1 -
"Babumushoi, Zindagi Badi Honi Chahiye, Lambi Nahin" - Anand
- 2 -
"Log Zindagi Ka Sabse Chota, Sabse Keemti Labz Bhool Gaye Hain, Pyar" - Bawarchi
- 3 -
"Jisme Insaan Ki Bhalai Ho Woh Kaam Kabhi Bura Nahin Hota" - Bawarchi
- 4 -
"Apnepan Ke Liye Kisiko Apna Banana Zaroori Nahi, Jisse Bhi Apnapan Mil Jaye Wohi Apna Hai" - Kati Patang
- 5 -
"Is Duniya Mein Jab Tak Bhalai Rupai Aur Paison Se Na Tauli Jaye, Woh Bhalai Nahin Kehlati" - Bawarchi
Rajesh Khanna's Motivational Dialogues
- 6 -
"Jeena Toh Bambai Mein, Marna Toh Bambai Mein" - Anand
- 7 -
"Yeh Bhi Toh Nahi Keh Sakta, Meri Umar Tujhe Lag Jaye" - Anand
- 8 -
"Pushpa, Mujhse Yeh Aasoon Nahin Dekhe Jaate, I Hate Tears" - Amar Prem
- 9 -
"Maut Toh Ek Pal Hai" - Anand
- 10 -
"Zindagi Ke Kuch Chakkar Aaise Hote Hai Jinka Mazaa Sirf Wohi Le Sakta Hai, Joh Zindagi Ka Share Jaan-Buchkar Ghaate Mein Khareede" - Amar Prem
Most Inspirational Quotes From Rajesh Khanna's Movies
- 11 -
"Jiska Dil Gham Ki Tanhaiyon Mein Ujadh Gaya Ho, Woh Bahar Se Kitna Hi Sehatmand Lagta Ho, Lekin Andar Se Toh Bimaar Hi Rehta Hai" - Aa Ab Laut Chalen
- 12 -
"It Is So Simple To Be Happy, But It Is So Difficult To Be Simple" - Bawarchi
- 13 -
"Kab, Kaun, Kaise Uthega, Yeh Koi Nahin Bata Sakta Hai" - Anand
- 14 -
"Hum Aane Waale Gham Ko Kheench Taan Kar Aaj Ki Khushi Pe Le Aate Hai, Aur Us Khushi Mein Zehar Ghol Dete Hai" - Anand
- 15 -
"Kisi Badi Khushi Ke Intezaar Mein, Hum Yeh Chote Chote Khushiyon Ke Mauke Kho Dete Hain" - Bawarchi
Famous Hindi Shayari From Rajesh Khanna Movies
- 16 -
"Jab Tak Zinda Hoon Tab Tak Mara Nahi, Jab Mar Gaya Sala Main Hi Nahi" - Anand
- 17 -
"Na Koi Tarang Hai, Na Koi Umang Hai, Meri Zindagi Bhi Kya Ek Kati Patang Hai" - Kati Patang
- 18 -
"Babumushoi, Zindagi Aur Maut Upar Waale Ke Haath Hai, Usse Na Toh Aap Badal Sakte Hai Na Main, Hum Sab To Rangmanch Ki Kathputliyan Hai Jinki Dor Upar Waale Ki Ungliyon Mein Bandhi Hai" - Anand
- 19 -
"Akal Se Sirf Nakshe Ban Sakte Hai, Imaaratein Nahi" - Namak Haraam
- 20 -
"Ek Chota Sa Zakhm Bahut Gehra Daag Ban Sakta Hai, Aur Ek Choti Si Mulaqat Jeevan Bhar Ka Saath Ban Sakti Hai" - Aradhana
Best Instagram Captions From Rajesh Khanna Movie Dialogues
- 21 -
"Mujhe Mithaai Khane Ka Nahi, Sirf Dekhne Ka Shaunk Hai" - Amar Prem
- 22 -
"Aadmi Jitna Sharif Hota Hai, Utna Hi Shaitan Bhi Ban Sakta Hai" - Amar Prem
- 23 -
"Khuda Gharat Kare Motor Banane Waale Ko, Sach Kaha Zalim Ghar Se Beghar Kar Diya Is Saale Motor Chalane Waale Ko" - Dushman
- 24 -
"Sangeet Cheez Hi Aaisi Hai, Saaz Ho Ya Awaaz, Kaano Mein Padte Hi Dil Ke Taar Jhun-Jhuna Uthte Hai, Aur Chanchal Mann Ko Shanti Mil Jaati Hai" - Mehbooba
- 25 -
"Cancer Ke Keedon Ke Samne, Na Meri Zindagi Ki Koi Keemat Hai, Na Tumhare Aasuon Ki" - Safar
Top Dialogues Status For WhatsApp From Rajesh Khanna Movies
- 26 -
"Bahut Dhundne Ka Baad Malum Hua Ki Jeevan Mein Mithaas Sirf Do Hi Jagah Hai, Ek Mithaai Waale Ke Yahan, Doosri Tumhari Awaaz" - Amar Prem
- 27 -
"Baarish Ki Boondon Se Darne Waale Toofan Ka Muqabla Nahi Kar Sakte" - Namak Haraam
- 28 -
"Prem Mein Mazaa Hi Tab Aata Hai Jab Ladki Gusse Waali Ho" - Aradhana
- 29 -
"Main Woh Bala Hoon Joh Jooton Se Tum Jaise Kutton Ke Sarr Phodta Hoon" - Souten
- 30 -
"Pyar Toh Na Bikne Ki Cheez Hai, Na Khareedne Ki Cheez Hai, Pyar Toh Sirf Karne Ki Cheez Hai" - Amar Deep
Superhit Dialogues Quotes Of Rajesh Khanna in Hindi
- 31 -
"Main Marne Se Pehle Marna Nahin Chahta" - Safar
- 32 -
"Zindagi Ka Koi Bhi Raasta Ekdum Seedha Toh Nahi Hota Hai, Kahin Na Kahin Modh Toh Zaroor Aata Hai" - Amar Prem
- 33 -
"Kanoon Ki Koi Bhi Kitaab Zindagi Ki Kitaab Se Badhkar Nahi Ho Sakti" - Souten
- 34 -
"Nadiya Se Dariya, Dariya Se Sagar, Sagar Se Gehra Hai Jaam, Jaam Mein Doob Gayi Hai Yaaron, Mere Jeevan Ki Har Shyam" - Namak Haraam
- 35 -
"Main Is Jhoot Ko Itne Bade Sach Mein Badal Doonga, Ki Woh Sach Ke Sivah Aur Kuch Nahi Rahega" - Souten
Funny Memes From Rajesh Khanna Movies Dialogues
- 36 -
"Tumhare Is Gale Ka Dard Kisi Ke Bhi Mann Ka Dard Mitta Sakta Hai" - Amar Prem
- 37 -
"Mere Ghar Taash Ka Ghar Hai, Jitni Baar Bhi Banane Ki Koshish Karta Hoon, Utni Baar Toot Jaata Hai" - Amar Prem
- 38 -
"Agar Tumhare Jaise Dost Is Duniya Mein Hue, Toh Kya Zaroorat Hai Dushmano Ki" - Angaaray (1986)
- 39 -
"Jise Dost Ka Haath Thaam Le Aur Maa Ka Aashirwad Mil Jaye, Woh Zindagi Ki Har Manzil Tay Kar Sakta Hai" - Aan Milo Sajna
- 40 -
"Kanoon Jurm Ko Dekhta Hai, Insaan Ko Nahi Dekhta, Uske Samne Raja Aur Runk, Ameer Aur Gareeb, Maalik Aur Ghulam, Sab Barabar Hai" - Kudrat (1981)
राजेश खन्ना के सुपरहिट डायलॉग
- 41 -
"Tumhara Hriday Kitna Achcha Hai, Woh Toh Main Jaanta Tha, Lekin Kitna Vishal Hai Yeh Aaj Malum Hua, Jitna Tumhe Milta Hoon, Mukt Ho Jaata Hoon
" - Amar Prem
- 42 -
"Is Duniya Mein Do Taang Waala Janwar Sabse Khatarnak Janwar Hai" - Haathi Mere Saathi
- 43 -
"Insaan Badal Jaate Hai, Insaano Ke Naam Nahi Badalte" - The Train
- 44 -
"Meri Shaadi Mere Jeevan Ka Sabse Bada Abhishaap Hai" - Amar Prem
- 45 -
"Kisi Ka Fayda, Kisi Ka Nuksaan, Kisi Ka Nuksaan, Kisi Ka Fayda, Issi Ka Naam Duniya Hai" - Avtaar
राजेश खन्ना के दमदार डायलॉग
- 46 -
"Zameen Toh Kisi Ke Baap Ki Nahi Hai, Zameen Toh Bhagwan Ki Hai, Mehnat Kisaan Ki Aur Anaaj Saare Desh Ka Hai" - Aan Milo Sajna
- 47 -
"Kasoor Mera Nahi Roti Ki Kasam, Bhook Ki Duniya Mein Imaan Badal Jaate Hai" - Roti
- 48 -
"Yeh Toh Main Hi Jaanta Hoon Ki Zindagi Ke Aakhri Mod Par Kitna Andhera Hai" - Safar
- 49 -
"Retire Toh Aadmi Ko Us Din Hona Chahiye, Jab Upar Waale Ka Bulava Aa Jaye" - Avtaar
- 50 -
"Jiyo Toh Sabke Liye, Maro Toh Sabke Liye" - Aan Milo Sajna
#
- 51 -
"Bada Aadmi Toh Woh Hota Hai Joh Doosron Ko Chota Nahi Samajhta" - Avtaar
- 52 -
"Hum The Jinke Sahare, Woh Hue Na Hamare, Doobi Jab Dil Ki Naiyya, Samne The Kinare" - Safar
- 53 -
"Tum Shamshaan Mein Bujhi Chitta Ki Rakh Mein Zindagi Dhoond Rahi Ho" - Safar
- 54 -
"Agar Bhoolne Se Rishtey Naate Toot Sakte Hai, Toh Is Duniya Mein Na Pyar Hota, Na Nafrat Hoti Aur Na Dard Hota" - Thodisi Bewafaii
- 55 -
"Insaan Ki Do Maayen Hoti Hai, Ek Maa Joh Insaan Ko Janam Deti Hai Aur Doosri Us Desh Ki Dharti Jahan Pe Woh Janam Leta Hai" - Aashiq Hoon Baharon Ka
#
- 56 -
"Raja Ki Puja Sirf Uske Desh Mein Hoti Hai, Aur Vidhvan Ki Puja Puri Duniya Mein Hoti Hai" - Bawarchi
- 57 -
"Aurat Woh Haseen Paheli Hai Jisse Samajhne Ke Liye Insaan Baar Baar Galati Karta Hai, Magar Phir Bhi Samajh Nahi Paata" - The Train
- 58 -
"Jis Tarah Insaan Purane Kapde Phekkar Naye Kapde Pehan Leta Hai, Us Hi Tarah Aatma Bhi Purane Jism Ko Chhodkar Naya Jism Dharan Kar Leti Hai" - Kudrat
- 59 -
"Duniya Ek Bahut Badi Mandi Hai, Bazar Hai, Jahan Pe Har Cheez Ka Bhaav Hai, Mol Hai, Jahan Pe Har Cheez Ek Bikau Maal Hai" - Amar Deep
- 60 -
"Kisi Kisi Dukh Ke Peeche Ek Bada Sukh Chupa Hota Hai" - Amar Deep
#
- 61 -
"Pyar Paise Se Nahi Khareeda Ja Sakta, Usse Paane Ke Liye Toh Puja Karni Padti Hai" - Dard
- 62 -
"Pyar Toh Bhagwan Ka Vardaan Hai Aur Paisa Insaan Ka Banaya Hua Zehar, Zaada Ho Jaane Par Usse Maar Dalta Hai" - Dard
- 63 -
"Main Tumhe Tumse Zyada Jaanta Hoon" - Safar
- 64 -
"Tum Ek Gehre Andhere Kuye Ki Taraf Bhaag Rahi Ho, Pyaas Nahi Bhujegi, Doob Jaogi" - Amar Prem
- 65 -
"Sansar Ki Har Gandagi Ko Apne Haathon Se Chukar, Tum Usse Pavitra Bana Deti Ho" - Amar Prem
#
- 66 -
"Ek Maa Ke Dil Ka Sabse Bada Armaan, Bete Ka Byah Hota Hai" - Aan Milo Sajna
- 67 -
"Mere Sapne Ka Sambandh Aankhon Se Nahi Hai, Dil Se Hai, Jise Mehsoos Kiya Ja Sakta Hai, Dekha Nahi Ja Sakta" - Mehbooba
- 68 -
"Milna Bichadna Jeevan Ki Reet Hai, Do Pehlu Hai, Ek Gham Ka Doosra Khushi Ka" - Agar Tum Na Hote
- 69 -
"Jahan Yaar Nahi Wahan Pyar Nahi, Jahan Pyar Nahi Wahan Yaar Nahi" - Namak Haraam
- 70 -
"Jis Din Ek Mazdoor Kaam Pe Nahi Jaata, Uske Ghar Par Chula Nahi Balki Uska Pet Jalta Hai" - Namak Haraam
#
- 71 -
"Yaaron Utho, Chalo, Bhaago, Daudo, Marne Se Pehle Jeena Na Chhodo" - Avtaar
Related Posts :
Thanks For Reading Rajesh Khanna Dialogues | Rajesh Khanna Quotes From Movies. Please Check Daily Updates On TheMoviesRepublic.com For Get Latest Movie Reviews, Web Series Reviews, Movies And Web Series Lists And Interesting Facts About Movies in Hindi.
No comments:
Post a Comment