60+ Famous Dilip Kumar Dialogues | Dilip Kumar Quotes From Movies
Best Iconic Dialogues Of Dilip Kumar With Images : Read And Share Dilip Kumar's Superhit Dialogues, Most Inspiring Quotes From Dilip Kumar, Cute Romantic Dialogues Of Dilip Kumar And Famous Hindi Shayari From Dilip Kumar Movies.
Most Memorable Dialogues Of Dilip Kumar
- 1 -
"Sher Ko Apne Bachon Ki Hifasat Ke Liye Shikari Kutton Ki Zaroorat Nahi Hai" - Karma
- 2 -
"Duniya Mein Asli Shanti Kisi Ke Sache Pyar Mein Hi Mil Sakti Hai, Uske Bagair Duniya Jise Shanti Kehti Hai, Woh Shanti Ek Thakan Hai, Shakast Ya Maut Ka Doosra Naam Hai" - Sangdil
- 3 -
"Jab Jab Is Desh Mein Tum Jaisa Rakshas Aayega, Mitaake Rakh Dega Usse Is Desh Ka Yeh Tiranga" - Karma
- 4 -
"Kagazaat Par Dastakhat Main Hamesha Apne Kalam Se Karta Hoon" - Vidhaata
- 5 -
"Mulk Ka Har Sipahi Jaanta Hai Ki, Uske Jism Par Woh Khaki Vardi, Joh Uska Maan Hai, Woh Vardi Uska Kafan Bhi Ban Sakti Hai" - Karma
Dilip Kumar's Motivational Dialogues
- 6 -
"Kulhadi Mein Lakdi Ka Dasta Na Hota, Toh Lakdi Ke Katne Ka Rasta Na Hota" - Kranti (1981)
- 7 -
"Tumhari Zindagi Mere Haath Mein Hai, Aur Tumhari Maut Bhi" - Karma
- 8 -
"Jiske Dil Mein Daga Aa Jaati Hai Na, Uski Aankhon Mein Daya Kabhi Nahi Aati" - Naya Daur (1957)
- 9 -
"Jab Pet Ki Roti Aur Jeb Ka Paisa Chin Jaata Hai Na, Toh Koi Samajh Wamajh Nahi Reh Jaati Hai Aadmi Ke Paas" - Naya Daur (1957)
- 10 -
"Bada Aadmi Agar Banna Ho, Toh Choti Harkatein Mat Karna" - Vidhaata
Most Inspirational Quotes From Dilip Kumar's Movies
- 11 -
"Mohabbat Karne Waalo Ka Bas Itna Hi Hai Afsana, Tadapna Chupke Chupke, Aah Bharna, Ghutke Marr Jana" - Mughal-E-Azam
- 12 -
"Kaun Kambakht Hai Joh Bardaasht Karne Ke Liye Peeta Hai, Main Toh Peeta Hoon Ki Bas Saans Le Sakun" - Devdas (1955)
- 13 -
"Haq Hamesha Sar Jhukake Nahi, Sar Uthake Maanga Jaata Hai" - Saudagar
- 14 -
"Jis Dhan Ke Liye Aap Duniya Se Dokha Kar Rahe Hai, Apne Azeezon Se, Apne Doston Se Dokha Kar Rahe Hai, Apne Saathiyon Se Dokha Kar Rahe Hai, Ussi Dhan Ke Haathon Aap Khud Bhi Dokha Khayenge" - Paigham
- 15 -
"Mera Dil Bhi Apka Koi Hindustan Nahi, Jispar Aap Hukumat Kare" - Mughal-E-Azam
Famous Hindi Shayari From Dilip Kumar Movies
- 16 -
"Main Tumhari Aankhon Mein Apni Mohabbat Ka Ikraar Dekhna Chahta Hoon" - Mughal-E-Azam
- 17 -
"Duniya Mein Dilwale Ka Saath Dena, Daulat Waale Ka Nahi" - Mughal-E-Azam
- 18 -
"Mohabbat Humne Maana Zindagi Barbad Kar Deti Hai, Yeh Kya Kam Hai Ki Marr Jaane Pe Duniya Yaad Karti Hai" - Mughal-E-Azam
- 19 -
"Mohabbat Joh Darti Ho Woh Mohabbat Nahin, Ayyashi Hai, Gunaah Hai" - Mughal-E-Azam
- 20 -
"Taqdeerein Badal Jaati Hai, Zamana Badal Jaata Hai, Mulkon Ki Tarikh Badal Jaati Hai, Shahenshah Badal Jaate Hai, Magar Is Badalti Hui Duniya Mein Mohabbat Jis Insaan Ka Daaman Thaam Leti Hai, Woh Insaan Nahi Badalta" - Mughal-E-Azam
Best Instagram Captions From Dilip Kumar Movie Dialogues
- 21 -
"Tareef Us Khuda Ki Jisne Jahan Banaya, Unko Haseen Banakar Mujhko Jawan Banaya" - Yahudi
- 22 -
"Agar Naali Ke Keeday Ko Duniya Bhar Ka Sabun Ikattha Karke Bhi Saaf Kiya Jaye, Usko Dhoya Jaye, Toh Bhi Woh Gande Ka Ganda Hi Rahega" - Mashaal
- 23 -
"Halaat, Kismatein, Insaan, Zindagi, Waqt Ke Saath Saath Sab Badal Jaata Hai" - Mashaal
- 24 -
"Insaan Apne Maa Baap Ke Naam Se Nahi, Apne Ghuno Se Achcha Ya Bura Samjha Jaata Hai" - Paigham
- 25 -
"Agar Aaj Hum Sab Aapas Mein Milkar Aur Apne Kaam Ko Apna Dharam Samajhkar Kare, Toh Kal Hamara Desh Bhi Duniya Ke Sare Mulkon Ke Aage Apna Sar Ooncha Karke Khada Ho Sakega" - Paigham
Top Dialogues Status For Whatsapp From Dilip Kumar Movies
- 26 -
"Rupaiya Kya Hai?, Mitti Ki Tarah Ek Bejaan Aur Bekaar Cheez Hai, Lekin Jis Tarah Mitti Mein Mehnat Ka Beejh Ugaye Bagair Paidawar Nahi Ho Sakti, Ussi Tarah Rupaiya Ke Saath Jab Tak Mehnat Ka Mel Nahi Hoga, Duniya Mein Kabhi Koi Tarakki Nahi Kar Sakega" - Paigham
- 27 -
"Jab Koi Apradh Vichar Kiye Bina Kiya Jaata Hai, Usse Bhool Kehte Hai, Lekin Vichar Ke Saath Kiya Hua Apradh, Nishchit Apradh Hi Kehlata Hai" - Dharam Adhikari
- 28 -
"Jab Dil Se Dil Ki Shaadi Hoti Hai Na, Toh Us Mein Na Baraatiyon Ki Zaroorat Hoti Hai Na Kisi Aur Cheez Ki, Us Mein Tamannao Ki Baraat Nikalti Hai Aur Khushiyon Ki" - Sangdil
- 29 -
"Din Ke Waqt Toh Phool Achche Lagte Hi Hai, Magar Chandni Mein Dekhiye Toh Yun Lagta Hai, Jaise Nanne Nanne Shokh Farishtey Door Ke Dariya Mein Tairte Phir Rahe Ho" - Sangdil
- 30 -
"Main Kisi Se Nahi Darta, Main Zindagi Se Nahi Darta, Maut Se Nahi Darta, Andheron Se Nahi Darta, Darta Hoon Toh Sirf Khoobsurati Se" - Sangdil
Superhit Dialogues Quotes Of Dilip Kumar in Hindi
- 31 -
"Maine Tumhari Mohabbat Ko Ishwar Ka Vardaan Samajhkar Seene Se Lagaye Rakha, Aur Uske Badle Mein Tumne Mujhe Kya Diya?, Apni Bewafai Ka Yeh Zehar, Yeh Zehar Jisne Meri Nas-Nas Mein Nafrat Aur Inteqam Ke Jwalamukhi Bhar Diye" - Dil Diya Dard Liya
- 32 -
"Jab Amir Ka Dil Kharab Hota Hai Na, Toh Gareeb Ka Dimaag Kharab Hota Hai" - Naya Daur (1957)
- 33 -
"Main Marke Bhi Maroonga Nahi, Tumhare Andar Zinda Rahoonga" - Mashaal
- 34 -
"Bhagwan Ne Kitni Achchi Tarah Tumko Sajakar Is Duniya Mein Behja Hai, Aankhen Jaise Jheel Mein Khile Hue Do Kamal, Dekhti Hai Toh Aakash Mein Indradhanush Khil Uthte Hai, Sharamati Hai Toh Kaliyon Ka Sar Jhuk Jaata Hai" - Dil Diya Dard Liya
- 35 -
"Agar Main Chor Hoon Toh Mujhse Chori Karane Waale Tum Ho, Aur Agar Main Mujrim Hoon Toh Mujhse Jurm Karane Waale Bhi Tum Ho" - Vidhaata
Funny Memes From Dilip Kumar Movies Dialogues
- 36 -
"Gyan Aur Agyan Mein Antar Hi Kya Hai, Kewal Ek Akshar Ka, Lekin Arth Mein Satyug Aur Kalyug Ka Sa Bedh Hai" - Dharam Adhikari
- 37 -
"Joh Log Sachchai Ki Tarafdari Ki Kasam Khate Hain, Zindagi Unke Bade Kathin Imtihaan Leti Hai" - Shakti
- 38 -
"Insaan Jab Andhaa Ho Jaata Hai, Toh Usko Raat Aur Din Ke Farak Mein Tameez Nahi Rehti" - Karma
- 39 -
"Najayaz Hote Hai Woh Log, Joh Najayaz Kaam Karte Hai, Najayaz Baat Karte Hai, Aur Tumhari Tarah Najayaz Sochte Hai" - Qila
- 40 -
"Jab Zindagi Daudti Hai, Toh Ragon Mein Behta Hua Khoon Bhi Daudta Hai" - Kranti (1981)
दिलीप कुमार के सुपरहिट डायलॉग
- 41 -
"Poochte Raho Aur Jagaye Rakho Mujhe Din Raat, Hazar Saal Tak Main Bookha Pyasa Rahoonga, Aur Phir Bhi Main Yahi Kahoonga Ki Main Begunah Hoon" - Ram Aur Shyam
- 42 -
"Hum Toh Sirf Yeh Chahte Hai Sethji, Ki Hamara Aur Aapka Amir Ya Garib Ka Rishta Na Rahe, Malik Ya Mazdoor Ka Rishta Na Rahe, Balki Hum Dono Ke Darmiyan Ek Insaan Aur Insaan Ka Rishta Kayam Ho" - Paigham
- 43 -
"Doobti Hui Kashti Mein Bhaagne Waale Kabhi Sahil Ka Mooh Tak Nahi Dekhte" - Leader
- 44 -
"Jeet Inki Nahi Hogi, Jeet Janta Ki Hogi, Jeet Is Jhoot Ki Nahi Hogi, Jeet Sachai Ki Hogi, Jeet In Khooniyon Ki Nahi Hogi, Jeet Hum Begunahon Ke Khoon Ki Hogi" - Leader
- 45 -
"Yeh Charon Aur Phaili Hui Dharti Par Rehne Waale Logon Ki Kewal Ek Hi Jaat Hai, Manushya Jaat" - Dharam Adhikari
दिलीप कुमार के दमदार डायलॉग
- 46 -
"Joh Haath Tumhari Madad Ko Uthega, Main Us Haath Ko Kaatkar Phenk Doonga, Joh Chhat Tum Logon Ko Aasra Degi, Main Us Ghar Ko Jalakar Raakh Kar Doonga" - Dil Diya Dard Liya
- 47 -
"Dil Paya Albela Maine, Tabiyat Meri Rangeeli, Aaj Khushi Mein Maine Bhai Yahan, Thodi Si Bhaang Peeli" - Sunghursh
- 48 -
"Kisi Insaan Ka Yun Khatam Hona Achcha Nahi, Khatam Toh Honi Chahiye Uski Burai, Uska Chotapan, Uski Khudgarzi" - Paigham
- 49 -
"Karam Karna Manav Ka Dharam Hai, Aur Uska Phal Dena Bhagwan Ke Haath Mein Hai" - Dharam Adhikari
- 50 -
"Meri Zindagi Mein Ek Aag Lagakar Tum Bhi Chain Se Nahi Jee Sakogi, Tumhari Aatma Til-Til Karke Jalegi Aur Tumhe Sukh Ka Ek Saans Bhi Nahi Milega" - Dil Diya Dard Liya
#
- 51 -
"Pyar Devtaon Ka Vardaan Hai Joh Sirf Bhagyashaliyon Ko Milta Hai" - Bairaag
- 52 -
"Kaatilon Ke Aage Koi Rasta Nahi Hota, Sirf Kanoon Ki Ek Kali Deewar Hoti Hai" - Bairaag
- 53 -
"Jeevan Mein Jab Bhi Koi Bada Parivartan Aata Hai Toh Insaan Ka Swabhav Aaise Hi Ho Jaata Hai, Kisi Anjaan Modh Par Pahunchkar Woh, Baar Baar Pichle Raaston Ki Taraf Mudhkar Dekhta Hai" - Sunghursh
- 54 -
"Yeh Khoon Ke Rishtey Hai, Insaan Na Inhe Banata Hai, Na Hi Todh Sakta Hai" - Qila
- 55 -
"Dil Ki Awaaz Dil Se Suni Jaati Hai, Kaano Se Nahi" - Uran Khatola
#
- 56 -
"Agar Woh Bechara Ek Din Kaam Par Nahi Jaata, Toh Us Bechare Ke Ghar Mein Chula Nahi Jalta, Aur Jis Din Chula Nahi Jalta, Uska Pet Jalta Hai, Uski Aatma Jalti Hai" - Paigham
- 57 -
"Jiske Mann Mein Vasna Ho, Woh Har Kisi Ko Vasna Ke Adhin Samajhta Hai" - Dharam Adhikari
- 58 -
"Is Sansar Mein Koi Manav Poorna Buddhiman Nahi Hota, Brahma Srishti Rachate Hai, Vishnu Uski Raksha Karte Hai Aur Shiv Usko Nasht Karte Hai" - Dharam Adhikari
- 59 -
"Paida Hue Bachche Par Najayaz Jayaz Ki Chaap Nahi Hoti, Aulad Sirf Aulad Hoti Hai" - Qila
- 60 -
"Jhoot Insaan Ka Zyada Der Tak Saath Nahi Deta" - Qila
Related Posts :
Thanks For Reading Dilip Kumar Dialogues | Dilip Kumar Quotes From Movies. Please Check Daily Updates On TheMoviesRepublic.com For Get Latest Movie Reviews, Web Series Reviews, Movies And Web Series Lists And Interesting Facts About Movies in Hindi.
No comments:
Post a Comment